Sunday, 5 May 2013

Rohani shefa Khana





Assalamo alaikom
ajkal kon kon se jado log karvate hai jadogaro ko pass de kar is per ake pore detail likhta ho.
1 mukamal amel kamel or 1 mokamel jadogar her kam kar sakta hai bashert yeah hai ka us ko ber poor elim ata ho .sewahe mout se bachna ka or kisi insan ko zenda karna ka amel ya jadogar kafe kuch kar sakte hai .
jado ki types

1) meya bewi main jodahe= acha bala ghar main marad or orate main larahe dal de jate hai. or yeah dono ake dosare se saket larte hai or baat baat per ulajhta hai .or in ko ake dosare se saket nafrate hotee hai .or ake dosare ka liya in ka dil main bugz ah jata hai .ager jado shahde ho or is ka foron elajh na karvaya jahe to baat talak tak pouch jate hai .

2) bewi ko shohar ki shakel deak kar ghusa ana = is kisam ka jado main jab bewi shohar ki taraf deakte hai to us ko saket ghusa ahta hai shoher per. or shoher ki shakel deak kar bewi ko saket nafrate ho jate hai .or wo shahded larahe karte hai .or larna marna ko taiyaar ho jate hai .

3) sir main darad rehna = jado se kisi be shaks ka sir main darad kar deya jata hai .chahe lakh davahe khalay laken phir be sir darad nahi jata. sir main darad rehta hai kabe ake dam sir main tease uthte hai to kabe ake dam khatam ho jate hai .

4) gala kharab rehna = is kisam ka jado main acha bala shaks ka gala kharab ho jata hai. galay se awaz he nahi nikal pate theek see .or ahsa mehsos hota hai ka galay main kohi kharash hai or yeah kharash dave se be door nahi hote .

5) sans ka mushkel se ana = jado sifly se is kisam ka jado kiya jata hai ka acha bala insan ko sans theek se nahi ate .wo ghooton mehsos karta hai sans lena main .or pareshan rehta hai .kabe us ka sena per zoor perta hai. to kabe dil per .or ahsa shaks per gabrahate or bechani tare rehtee hai .

6) behra karna = jado elim main kisi be insan ko bera kar deya jata hai us ka suna ki taquat ko khatam kardeya jata hai ahsa insan ka kano main darad rehta hai or tease be uthte hai

7) orate ka khone jare karna = is jado main orate ka khone jare kar deya jata hai or wo bohat shahded takleef main ah jate hai ahse orate apna shoher se sobat nahi kar pati or ager sobat kar be lay to intahahe shaded takleef main ah jate hai or bemar par jate hai bohat zada

8) jisam main darad = is kisam ka jado main pore jisam main darad rehta hai yeah darad kabe dono tange main zada hota hai to kabe hatho or kamer main hota hai phir sir tak pouchta hai or ajeeb se thakan ho jate hai insan samjhta hai ka kamzoore ho gahe hai ya ajj zada mehnat ki thi to is waja se darad ho raha hai

9) anda karna = jadogar kisi be insan ko anda kar deta hai apna jado se us shaks ki benahe chalay jate hai shoro main nazre kamzoor ho jate hai phir ahista ahista us shaks ki benahe chalay jate hai

10) dato main darad masoro ki bemare or dato main kira lagana = bazz okat jadogar dato ka picha lag jata hai kio ka insan ki lambi omar ka daro madar dato per hai jab daat he theek nahi rahe gay to phir insan ki sehat kharab ho gee or wo kamzoor or bemar rahe ga jadogar dato per kira or masoro per waram or dato main darad ka jado kar deta hai

11) dil ki darkan tazz karna = jadogar apna jado se dil ki darkan tazz kar deta hai or dil bohat tazz tazz darakta hai insan ka samjh nahi ata wo samjhta hai ka dil ki kohi bemare hai ya phir samjhta hai ka blood preasure high hai

12) bokhar rehna = jado sifly main akser bokhar rehta hai jado ka deya howa bokhar main sab se khater nak bokhar typhoid hai jis ka elajh main ager dair lag jahe to banda bohat saket bemar ho jata hai or bohat kamzoor ho jata hai jesa ka 6 month ka nooksan howa ho jisam ka

13) chacker ana ka jado = jado main ake chaker ana ka jado be hota hai ankho ka aga ake dam andera ah jata hai us per chacker ana shoro ho jata hai

14) yadasht ka khojana = is kisam ka jado main log apni yaad dasht khodeta hai or betha betha sab kuch bhool jata hai or akser log to apna bacho ko be nahi pachan pate or un ka demage kam he nahi karta

15) demage ka theek tareka se kam nahi karna = is kisam ka jado main demage theek tareka se kam nahi karta or insan kar kya raha hota hai or ho kuch raha hota hai office wala logo ko bare pareshani hote hai is kisam ka jado ki waja se ahsa shaks apni cheeze kisi be jaga rakh kar bhool jata hai or bar bar doond ta hai

16) kisi be kam main dil nahi lagna = jado main akser logo per is kisam ka jado be karaya jata hai yeah zada tar job karna wala afrad per or bacho per kiya jata hai taka wo sust pare rahe

18) awara banana = is kisam ka jado main kisi be mah baap ka pale palahe bacha ko awara banaya jata hai taka us mah baap ka bacha awara bana or bacha ka mah baap pareshan ho

19) charus segrate ki adat lagana =kala jado sifly main log jadogaro ka pass ja kar ahsa jado karvate hai jis per karvana ho ka us ko charus ki adat lag jahe kio ka yeah is liya karvate hai ka ager ake dafa victum is patre per char jahe to wapious ana ka sawal he peda nahi hota or ager zeenda be rahe wo shaks to us ki zeendage bekar he hote hai

20) sharab ki adat lagwana = jadogar kisi be shaks ko sharab ki adat per laga deta hai taka wo ghar main larahe jagra kareen or ghar ka amon kharab ho

21) zani bana na = jado sifly main bazz log mah baap ki betio ko zani banwate hai laken is main orate ka kohi kasoor nahi hota yeah sab jado ki waja se hota hai or ager marad ko zani banaya jahe to us ka picha kisi orate ka hath hota hai taka wo marad us orate ka sath sex kareen or us orate ki jinse khuwahish pore ho or marad be orate per ishe kisam ka jado karvate hai

22 )quran pak allah or rasool se nafrate dal na dil main = yeah jado us waquat karte hai jab ka jadogar ko dar ho ka us ka jado allah ka zikar , quran pak ki telwat or rasool pak ka daradood se toor na jahe is liya jadogar in cheezo se insan ko door karta hai taka jadogar ko bar bar mehnat na karni pare

23) khuweb band karna = is jado main insan raat ko sota hai laken us ko neend theek se nahi ate us ka zehan chalta rehta hai or us ko khoweb nahi ate or wo bachain or pareshan he rehta hai kabe is karvat to kabe us karvat bedelta hai laken us ko chain nahi milta

24) randi bana na orate ko = is jado main kisi be orate ko randi bana deya jata hai or orate ka under se besharmi khatam ho jate hai or wo bare bare galay wala kapre pehante hai or apni sharam gah mardo ko dekhate hai taka mard khush ho or us ka sath bora kam kareen ahse orate ki sex power jado ka zarya bara de jate hai

25) pet or meda main darad rehna = jado main akser logo ka pet or meda main darad rehta hai or un ko ishe cheez ki bemare rehte hai kabe ake dam matli hote hai to kabe bohat tazz bhook lagna shoro ho jate hai jab khana khana betho to do tin newalo main pet bar jata hai or bhook khatam ho jate hai kabe pet main saket dara hota hai or insan kacha pakhana karta hai

26) sena main jalan rehna = jado main ake is tarah ka jado be hota hai jis se sena main bare tazz jalon hote hai or mu main okahe ah jate hai ahsa lagta hai ka kohi bohat tazz lal mircho wala shorba khaya ho or us se jalan ho rahe hai

27) jigar kharab karna = kio ka insan ki sehat ka daro mardat jigar per mun hasir hai jadogar jigar per attack karta hai jab jigar kharab ho jata hai to insan ka jisam main khone nahi banta or phir insan ka khana pena band ho jata hai or wo tarah tarah ki bemareya paker leta hai

28) shoher ki shakel bewi ko kuta ya khinzeer jase nazar ana = is jado main jab shoher bewi ka pass ata hai to bewi ko shoher ki shakel khanzeer ya kuta jase nazar ate hai or bewi chikna chilana or shor machana shoro ka kardate hai

29) marad ko na marad bana = ahsa jado main marad bekar ho jata hai wo humbistare nahi kar sakta marad ka azu karahona ka kabel he nahi rehta or wo tamam elajh ka bawajood be theek nahi hota

30) putlo ka zarya kiya gahe jado = is jado main ake putla banaya jata hai jo orate ki guzar gah per dafan kiya jata hai is jado se us orate ka han larkia he larkia peda hote hai or kabe be larka peda nahi hota mah baap beta ki ass main intazar he karta rehta hai

31) bacho ka sookh kar mar jana =is kisam ka sehar main bacha saket bemar ho jata hai din ba din kamzoor ho jata hai elajh ka bawajood theek nahi hota jis ko log um alsobyan ya sokha ki bemare boolte hai

32) orato ka bacho ko pet main marna
yeah sehar janwaro or maho per kiya jata hai is sehar se orate ka pet main he us ka bacha mar jata hai or phir mah ki zeendage ko shahded khatara lahaq hota hai

33) janwaro per jado karna un ko bemar karna =
is tarah ka sehar jado main logo ka janwaro ko bemar kardeya jata hai in ka mawashe bemar rehta hai

34) janwaro ka dood sokh na or bemar rehna
is jado main janweryani bair bakre , gahe behas ka dood khushak ho jata hai or ager pet main bacha ho to wo mar jata hai pet main he or peda hota hai to mara howa is janwer ka ager kohi bacha dood pelay to wo shahded bemar ho jata hai or ahista ahista mout ka mu main ah jata hai

35) admi orate se nafrate kareen = is jado main admi apni bewi se nafrate karna lagta hai us ka dil main bewi ka liya nafrate se ho jate hai or her waquat apni bewi ko apna dushman samjhta hai ager kohi is ko samjha to wo us ko be apna dushman samjh ta hai

36) larkio ka rishta ana band hona = is jado main larkio ka rishta ana band ho jata hai larkia apna ghar main he bethi rehta hai rishto ka intazar main baat ban be jate hai sab kuch ho jata hai laken akhir main rishta mana ho jata hai

37) joro ka darad = is jado main insan ka joro main darad kar deya jata hai or wo chalna phirna ka kabil nahi rehta kabe to yeah darad bohat shaded hota hai or kabe kam

38) jinsi bandish karna orate ki = is jado main orate ki jinsi bandish karde jate hai orate sobat karna se nafrate karte hai kisi se be us ka dil nahi karta sex karna ko sex se orate ko nafrate se ho jate hai

39) chera begar na = is jado se orate ka chera begar deya jata hai or jo be is orate ko deakta hai wo is ko
chorail , dayan najana kon kon se khetab se nawazta hai

40) coke band na orate ki = is jado main orate ki coke band de jate hai orate ko bacha nahi hota elajh or medical main sab theek hote hai reports laken phir be bacha nahi hota

41) rizq ki bandish karna = is jado bandish se mali lehaz se tabah ho jata hai ahe din nook sanat ka samna karna perta hia bela kisi jahis waja ka hota hai new new mosibateen an partee hai

42) ghar ko tabah wa barbad karna = is jado main kisi acha bala ghar ko ojar deya jata hai or weran kardeya jata hai her farad 1 dosare ka jani dushman ban jata hai

43) la elajh maraz dalna = is jado main orate ka marad ko la ealjh maraz dala jate hai or un ko tarpa tarpa kar mara jata hai shahde takeleef de jate hai

44) zalil karna orate ko shoher ki nazro main = is jado main orate ko nicha kiya jata hai or shoher ka dil wa demage main be yahe baat ghoomte rehte hai

45)
marad ka dil main shak dalna apni bewi ka liya = jado sifly main ahsa jado marad per kiya jata hai jis se marad apni bewi per zara zara se baat per shak karta hai or us ka dil main weham ah jata hai apni bewi ka liya

46)
molazim ko nookre se nikal wana ya ohda gerana = is jado main kisi be molazim afser ya ohde dar ki is ka ohde se montazeli karvade jate hai is ko ohde se motel kara deya jata hai or jis jaga yeah shaks kam karta hai waha ka logo se ahe din larahe jagra rehta hai

47)orate ko talak del wana =bazarya jado se orate ko apna shoher se talak dil wade jate hai is ka her nikha ka baad mosal sal talaq ka sil sila jare rehta hai or wo orate kisi be marad ka sath kush nahi rehtee

48) ameer admi ko bekare bana na = is jado main ameer logo ko bekare bana deya jata hai un ka sab kuch tabah ho jata hai or wow fakir wa kangal ho jate hai

49) mulk se jala waton karna = is jado main kisi be shaks ko jala waton kar deya jata hai ya phir wo ake shehar se dosare shehar mara mara ghoomta phirta hai

50) shahde ghosa dalna dil wa demage main = is kisam ka jado main insan per shahded ghosa tare rehta hai or wo apna ape se bahar rehta hai or her kisi se larna jagar na ko taiyaar rehta hai us ka yeah man na hota hai ya to tu rahe ga ya to main raho ga

51) orate ki pastan main darad karna = is jado se orate ki pastan main darad kar deya jata hai chate dhookte rehtee hai orate ki or us main takeef rehte hai

52) okdam zikar = is kisam ka jado zada tar us shaks per kiya jata hai jin ka ghar rishta la kar ja rahe ho us shaks ka ghar walay phir rishta walo ka apna ghar main zikar karte rehta hai or unhe ki bateen hotee rehtee hai ghar main un ka jana ka baad be mahino tak yeah sil sila jare rehta hai

53) mohobat main devana karna = is kisam ka jado zada tar orate apna shoher per karte hai orate apna ganda pani per amal karva kar marad ko pela date hai marad orate ka kabo main ah jata hai or kuta ki tarah orate ka picha picha ghoomta hai or marad be apna ganda pani le kar us per amal karva kar kisi be larki ya orate jis se us ka sobat karna ko dil chahe us ko pela deta hai phir orate marad ka kabo main ah jate hai abb yeah marad per depend karta hai ka wo us ka sath kya kareen ahse sorate hall main orate nedal hote hai or sab kuch marad per hota hai ka wo us ka sath kya kay kareen

54) dar anjana khuf dal na dil main = is jado main insan ka dil main dar khuf dal deya jata hai sab kuch hona ka bawajood wo mayous or na kush hota hai us ka kuch be samjh nahi ata bus us ka dil her waquat derta rehta hai

55) sehar khamol = is jado main insan sust per jata hai us ka kohi be kam karna ko dil nahi karta wo dehla or lachar ho jata hai

56) murge ka dore = morge 2 kisam ki hote hai ake badni dosare jado ki waja se sehar jado main insan per is kisam ka amal karaya jata hai taka us ko murge ka dore pareen

57) sehar laqwa = is jado main chare ki halat begar jate hai or mu tera ho jata hai elajh ka baad be mareez dandrust nahi rehta khana or pena se mareez bezar ah kar tange ho jata hai or awaz be beth jate hai

58) sehar al mafloj = is sehar se morad ha ka insan ka kuch aza ya sara jisam ba has reh jata hai or in main khone ka dora khatam ho jata hai or ahsa mareez ko falak kaha jata hai

59) sehar kabos = is sehar kisam main shaks ko akser wa bashter bohat zada neend ate hai or neend main bare shakel ka insan ya daraoni shakel wali ajeeb mooklook deakhahe date hai

60) shahded chaker ana ankho ka aga andera cha jana = is sehar main begar kisi bemare ka sir main tese uth te hai or yakdam sir main shahded chaker ate hai or ankho ka agay andera cha jata hai

61) jado bandish nikah = nikah ki bandish main ahsa jado kiya jata hai jo end nikha ka waquat hota hai is se ya to dulan ka demage kharab ho jata hai or wo mana kardate hai nikha karna ko ya phir dulah ka demage kharab ho jata hai ya wo mana kar deta hai nikah karna ko ya phir kohi ahse pareshani ah jate hai jis se nikha motel ho jata hai

62) surat anzal = is jado main marad ko surat anzal ki shekayat lahaq ho jate hai or bawajood elajh ka wo theek nahi hota

63) bandish has = bazz okat haseed orate kisi haseed jadogar se has ka jado karvadate hai jis se orate ka mahowar ana band ho jate hai

64) sehar janon sehar janon se morad wo sehar jado hai jis se insan apna hosh wa hawas kho beth ta hai or amoman llog is ko pagal kehta hai or wo kisi ka kabo main nahi ata or ahse afrad is ko zangero main band kar rakhta hai ahsa shaks bare mushkel main kabo ata hai

65) masan = masan wo jado hai jo bacho per kiya jata hai is main hindowana tareka se taiyaar karda mordo ki rakh kisi na kisi sha main rakh kar khila de jate hai

bokhari431@gmail.com

No comments:

Post a Comment